Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Toofan mein humko chhod ke saahil pe aa gaye
Toofan mein humko chhod ke saahil pe aa gaye
Saahil pe aa gaye
Na Khuda ka!
Na Khuda ka humne inhein naam diya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare
Pehle to hosh chheen liye zulm-o-sitam se
Pehle to hosh chheen liye zulm-o-sitam se
Zulm-o-sitam se
Deewanagi ka
Deewanagi ka phir hamein ilzam diya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare
Apne hi giraate hain nasheman pe bijliyan
Apne hi giraate hain nasheman pe bijliyan
Nasheman pe bijliyan
Ghairon ne aake
Ghairon ne aake phir bhi use thaam liya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare
Bankar raqeeb baithe hain wo jo habeeb the
Bankar raqeeb baithe hain wo jo habeeb the
Wo jo habeeb the
Yaaron ne khoob
Yaaron ne khoob farz ko anjaam diya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
- Singers : Amit Kumar, Lata Mangeshkar
- Lyricist : Indeevar
Related Posts
- Dil Mein Baji Guitar …… ♣ Amit Kumar
- Bole Chudiyan Kabhi Khushi Kabhie Gham ♣ Alka Yagnik♣ Amit Kumar♣ Kavita Krishnamurthy♣ Sonu Nigam♣ Udit Narayan
© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul