La la la.. la la la la
Aaha ha ha ha ha..

Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti
Aansu khushi ke gham ke hote hain ek jaise
Aansu khushi ke gham ke hote hain ek jaise
In aansuon ki koi pehchan nahi hoti
Haan.. Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti

Har baat hai wohi par matlab badal gaye hain
Dil dagmaga gaya tha, par hum sambhal gaye hain
Aise bhi aate hain din jeete hain log lekin
Aise bhi aate hain din jeete hain log lekin
Hota hai aur sab kuchh par jaan nahi hoti
Haan.. Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti

La la la.. la la la la
Aaha ha ha ha ha..

Hote hain is jahan mein chehre bhi ek jaise
Ghoonghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise
Sab jaanti hain nazrein, pehchanti hai nazrein
Sab jaanti hain nazrein, pehchanti hai nazrein
Apni paraayi surat anjaan nahi hoti
Haan.. Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti

Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaaye jab akela
Rehta hai sath iske yaadon ka ek mela
Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye
Duniya bhi chhoot jaaye, har aas toot jaaye
Mehfil kabhi yeh dil ki veeran nahi hoti

Aansu khushi ke gham ke hote hain ek jaise
Aansu khushi ke gham ke hote hain ek jaise
In aansuon ki koi pehchan nahi hoti
Haan.. Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti

  • Movie : Ankhon Mein Tum Ho
  • Lyricist : Anand Bakshi
  • Singer : Alka Yagnik
  • Music : Anu Malik

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul