Aye jaate hue lamhon
Zara thehro, zara thehro
Aye jaate hue lamhon
Zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon
Zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai unse kahoon
To chaloon, to chaloon
Hmm.. hmm..
To chaloon, to chaloon, to chaloon..
To chaloon, to chaloon
Hmm.. hmm..
To chaloon, to chaloon, to chaloon..
Aye jaate hue lamhon
Zara thehro, zara thehro
Unke chehre ki yeh narmiyan
Unki zulfon ki yeh badliyan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke hothon ki yeh surkhiyan
Unke chehre ki yeh narmiyan
Unki zulfon ki yeh badliyan
Unki aankhon ke roshan diye
Unke hothon ki yeh surkhiyan..
Sab unke hain jalve
Main chalne se pehle
Saanson mein, aankhon mein
Khwaabon mein, yaadon mein
Aur is dil mein unko chhupa ke rakhoon
To chaloon, to chaloon
Hmm.. hmm..
To chaloon, to chaloon, to chaloon..
Aye jaate hue lamhon
Zara thehro, zara thehro
Main kahin bhi rahoon aye sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faasle aate jaate rahein
Pyaar lekin nahi hoga kam
Main kahin bhi rahoon aye sanam
Mujhko hai zindagi ki kasam
Faasle aate jaate rahein
Pyaar lekin nahi hoga kam
Jinhein chaahun, jinhein poojun
Unhein dekhoon, unhein chhoo loon
Zara baatein to kar loon
Zara baahon mein bhar loon
Main is chaand se maathe ko choom loon
To chaloon, to chaloon
Hmm.. hmm..
To chaloon, to chaloon, to chaloon..
Aye jaate hue lamhon
Zara thehro, zara thehro
Main bhi to chalta hoon
Zara unse milta hoon
Jo ek baat dil mein hai unse kahoon
To chaloon, to chaloon
Hmm.. hmm..
To chaloon, to chaloon, to chaloon..
- Lyricist : Javed Akhtar
- Singer : Roop Kumar Rathod
- Music : Anu Malik
- Movie : Border (1997)
Related Posts
- Tujh Mein Rab Dikhta Hai ♣ Roop Kumar Rathod♣ Tujh Mein Rab Dikhta Hai
- Sandese Aate Hai ♣ Roop Kumar Rathod♣ Sonu Nigam
- Tujh mein rab dikhta hai ♣ Roop Kumar Rathod
© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul