Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhee anjan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhee anjan hai
Dharati pe roop ma bap ka
Us vidhata ki pehchan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..

Janmdata hai jo nam jinse mila
Thamkar jinaki unglee hai bachpan chala
Kandhe par baithke jinke dekha jahan
Gyan jinse mila kya bura kya bhala
Itne upkar hain kya kahe
Yeh batana naa aasan hai
Dharatee pe rup ma bap ka
Us vidhata ki pehchan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai…

Janam deti hai jo ma jise jag kahe
Apanee santan mein pran jiske rahe
Loriya hothon par sapne bunatee najar
Nind jo var de, hanske har dukh sahe
Mamta ke rup me hai prabhu
Aapse paya vardan hai
Dharati pe rup ma bap ka
Us vidhata ki pehchan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai..

Aapke khwab ham aaj hokar jawan
Us param shakti se karte hain prarthna

Unki chhaya rahe, rehatee duneeya talak
Ek pal reh sake ham naa jinke bina
Aap dono salamat rahe
Sabke dil me yeh arman hai
Dharati pe rup ma bap ka
Us vidhata ki pehchan hai

Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhee anjan hai
Yeh to sach hai ki bhagwan hai
Hai magar phir bhee anjan hai
Dharati pe roop ma bap ka
Us vidhata ki pehchan hai

  • Movie : Hum Saath Saath Hain
  • Lyricist : Dev Kohli
  • Singers : Hariharan, Pratima Rao, Ghanshyam Vaswani, Santosh Tiwari, Ravinder Rawal

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul