zindagi ke safar mein guzar jate hain jo makam,
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate!
zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate

phool khilte hain,
log milte hain
phool khilte hain,
log milte hain magar
patjhad main jo phool
murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin
kuchh log ek roz jo bichad jate hain
woh hazaron ke aane se milte nahin
umr bhar chahe koi pukara kare unka naam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate

aankh dhoka hai
kya bharosa hai
aankh dhoka hai kya bharosa hai suno
dosto shak dosti ka dushman hai
apne dil me ise ghar banane na do
kal tadapna pade yaad me JinKi
rok lo roothkar unko jaane na do
baad me pyaar ke chahe bhejo hazaroon payaam
woh phir nahi aate
woh phir nahi aate

subaah aati hai
raat jaati hai
subaah aati hai
raat jaati hai yuhi
waqt chalta hi rehta hai rookta nahi
ek pal me ye aage nikal jaata hai
aadmi theek se dekh paata nahin
aur parde pe manzar badal jaata hai,
ek baar chale jaate hai jo din raat subah shaam
woh!woh phir nahi aate
woh phir nahi aate!
zindagi ke safar mein,guzar jate hain jo makam
woh phir nahin aate,
woh phir nahin aate!

  • Lyricist : ANAND BAKSHI
  • Singer : KISHORE KUMAR
  • Movie : Aap Ki Kasam 1974

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2025 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul