Ek Husn Ke Devi Se Muje Piyar Hua Tha (Hai Piyar Hua Tha)
Dil Us Ki Muhabbat Me GirifTar Hua Tha

Woh Roop Ke Jis Roop Se Kaliyan Bhi Lajaayen…Woh Roooop Hai..Hai
Woh Zulf Ke Jis Zulf Se Sharmaayen Ghattaayen
Mekhaane Nighahon ke Adaon Ke Taraane
De Dale Muje usne Muhabat Ke Khazane

Haan Aesi Hi Ek Raat Thi…Haan Aesi Hi Ek Raat Thi
Aesa Hi Sama Tha Yeh Chand Bi Poora Tha Zamaana Bi Jawaan Tha
Ek Pairh Ke Sayee Me Jab Iqraar Hua Tha
Ek Husn Ke Devi Se Muje Piyar Hua Tha (Hai Piyar Hua Tha)

Kashmeer Ke Wadi Ke Woh Pur Keaf Nazaare … Kashmeeeer Hai..Hai
Lamhat Muhabat Ke Jahan Hum Ne Guzaare
Angraayeyan Lekar Mere Bahon Ke Sahaare
Gulnar Nazar Aati thi woh Sharm Ke Maare
Ek Tarfa Nathe Husn-o-Muhabat Ke Isahaare
Us Ne Bi Kai Baar Mere Baal Sawaree
Eh-saas Ka Jazbaath Ka Iz-haar Hua Tha
Ek Husn Ke Devi Se Muje Piyar Hua Tha (Hai Piyar Hua Tha)

Kuch Rooz Kate Yun Bi Bura Waqth Jab Aay… Kuch Rooooz Hai..Hai
Us Husn Ke Devi Ne Bi Nazroon Ko Phiraaya
Gurbat Ne Zamane Ki Nighahon se Giraaya
An-chal Mere Hathoon Se Muhabat Ne Churaaya
Ek Raath Ko Us ne Muje Soota hua Chooda
Chaldi woh Kahin Piyaar ko Roota Hua Chooda
Sooya Hua Me Neend se jaaga Jo Saveere
Woh Jab Na Mili Chagaye Aankho me Andheere
Taq-deer Kisi Ko bi Bure Din Na Dikhaaye
Hotain Hen Bure Waqt Me Apne Bi Paraaye
Kiya Piyaar Bi Doolat Ka Talb-gar Hua Tha

Ek Husn Ke Devi Se Muje Piyar Hua Tha (Hai Piyar Hua Tha)

 
  • Singer : Mehdi Hassan
  • Movie : Meri Zindagi Hai Nagma

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2025 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul