yeh log, pathar ke dil hain jin ke
numaaish-e-rung main hain doobe

yeh kaagazi phool jaise chehre
mazaaq urraate hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de
maqaam ooncha hai saadgi ka

inahan bhala zakhm ki khabar kya
keh teer chalte huwe na dekha
udaas aankhon main aarzoo ka khoon jalte hue na dekha
andhera chaaya hai in ke aage haseen ghaflat ki roshni ka

yeh kaagazi phool jaise chehre
mazaaq urraate hain aadmi ka

yeh sehn-e-gulshan main jab gaye hain bahaar hi loot le gaye hai
jaahan gaye hain yeh do dilon ka qaraar hi loot le gaye hain
ke dil dukhana hai in ka sheva inhain hay ehsaas kab kisee ka

yeh kaagazi phool jaise chehre
mazaaq urraate hain aadmi ka

main jhoot ki jagmagati mehfil main aaj sach bolne laga hun
main ho ke majboor apne geeton main zehr phir gholne laga hoon
yeh zehr shayad urraa deh nasha ghuroor main doobi zindagi ka

yeh kaagazi phool jaise chehre
mazaaq urraate hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de
maqaam ooncha hai saadgi ka

yeh kaagazi phool jaise chehre

 

 
  • Singer : Mehdi Hassan
  • Lyricist : Fayyaz Hashmi
  • Music : Master Inayat Husain
  • Movie : Devar Bhabhi (1967)

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2025 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul