Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaa

Naa koi hai na koi tha zindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaa
Tum dena saath mera o humnawaa

(music)
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath
Ho chaandni jab tak raat deta hai har koi saath
Tum magar andheron mein na chhodna mera haath
Jab koi baat bigad jaaye jab koi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaa
Na koi hai na koi tha zindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaa

(music)
Wafadaari ki vo rasmein nibhayenge hum tum kasmein
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apne bas mein

Dil ko mere hua yakeen hum pehle bhi mile kahin
Silsila ye sadiyon ka koi aaj ki baat nahin

  • Singer : Kumar Sanu & Sadhna Sargam
  • Lyricist : Indivar
  • Composer : Rajesh Roshan
  • Movie : jurm (1990)

Related Posts

Message us

To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul