zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
mein to mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon gaa…

tu mila hai to yeh ehsaas huwa hai mujh ko
yeh meri umr mohobat kay liyee thordi hai
ek zara sa gham dowraan ka haq hai jis par
main nay wo sans bhi teray liyee rakh chordi hai
tujh pay ho jaoon ga qurban tujhay chahoon gaa…

apnay jazbat mein naghmat rachanay kay liyee
main nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasawwur bhi judayee ka bhala kaisay karoon
mein nay kismat ki lakeroon say churaya hai tujhay
pyar ka ban nigheyban tujhay chahoon gaa…

teri har chap say jaltay hain khayaloon mein chiragh
jab bhi tu ayee jagata huwa jadoo ayee
tujh ko choo loon to phir ayee janay tamanna mujh ko
Der tak apnay badan say teri khushbu ayee
tu baharoon ka hai anwan tujhay chahoon gaa…

 
  • Singer : Mehdi Hassan
  • Movie : Azmat

Related Posts

Message us


To Place Advertisement : geetikar@gmail.com

© 2024 | All rights reserved | Developed By : Ram Krishna paul